Thursday, 5 July 2018

Adsense CPC kya kyon kaise ? - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog Hindi Idea me aaj hum aapko Adsense CPC ke bare me batayenge.

Adsense CPC Kya hai 

Adsense CPC chaliye pahle ye jante hai ki Adsense CPC kya hota hai, jaisa ki aap yadi blogger hai to nischit hi Adsense ke bare me jante hai aise me aapko adsense CPC ke bare me samjnane me aasani hoga

Adsense CPC ka matlab hota hai cost per click yaani ek din me aapki kitni adsense se earning hui hai aur kul kitna click hua hai usko bhag dene par jo rate aata hai use Adsense CPC kahte hai


Maan lijiye aapke blog ke aaj ki earing 2 USD hai aur total 40 Click hue hai to aapka cpc honga


Total Earning / Total Click = CPC


To Ab apki Total Eearning 2 USD /  Total Click 40 = CPC Rate 0.05 USD honga


Yani aapke blog ke har click ke average 0.05 USD ke rate ke hisab se CPC mila


To aise me yadi dekha jay to Asian Country me Adsense CPC bahut hi low hote hai jo aksar 0.01 se 0.02 hi hota hai jiske kaaran adhik click hone par bhi blog par itna mehnat karne ke bavjud earning bahut hi kam hoti hai

To aise me har blogger asian country se hai aksar apne adsense CPC rate ko lekar chintit rahta hai to chaliye jaante hai kaise Google Adsense Cpc Rates Kaise badhaye


CPC Rate badhane ke liye in 5 baato ko hume dhyan rakhna chahiye


Adsense CPC kya kyon kaise ? - Hindi Idea


1 Tips –  Blog Topis ya Blog Niche

Adsense CPC aapko kaisa milta hai yah apkke blog par depend karta hai isliye aapka blog kis topic par hai yah dhyan dena jaruri hai yadi apka blog high paying keyword wale topic par blog hai to nischit hi aapko high CPC bhi milta hai so iske liye aapka blog ka main topc kya hai ish par dhyan dena jaruri hai

High CPC wale topic mukhyataya Technology, Google Products, Banking, Automobile Industry, Health, Real Estate, Job hai so agar aapka blog in diye gaye topic par blog hai to nischit hi aap inse related janakari bhi dete honge to nischit hi aapka blog ki CPC rate aur topic ke mukabale aksar high hi rahta hai, isliye jab bhi aap apna blog shuru karte hai to aise topic par focus jaroor  karna chahiye


2 Tips –  Blog Search

Jab aapka blog search ke jariye log aate hai to nischit hi aise condition me aapka blog popular honga to aapke blog ke post google ya kisi bhi search engine ke first engine par aate honge isliye yadi aapke visitor apke blog par search ke jairye aate hai to nischit hi aapko aur prakar ke traffic se jyada hi click milte hai to aise me aapka blog ki CPC bhi usi ke hisab se badhti hai


Iske atirikt yadi aapka blog social site jaise facebook, twitter ke jariye visitor aate hai to aap check kar skte hai google search ke mukabale social site ki traffic par CPC rate thoda kam hi rahta hai, isilye yadi blog ko famous banana hai aur Adsense ki CPC high krna hai to hame hamesa organic traffic yaani search traffic par dhyan focus karna chahiye


3 Tips – Target High Keyword

Blog ke post ko search hone me keyword ka bahut bada role hota hai aise me yadi blog ke post me high search keyword par aapka blog post hai to nischit hi aapka blog bhi jald se jald se search engine ke top me dikhta hai jisse aapke blog par adhik se adhik log visit bhi karte hai jiske kaaran Ads par adhik click milne ke chance hote hai jiske kaaran automatically Adsense CPC bhi badhta jata hai


To aise me Adsense CPC ka rate badhane ke liye hmesa high quality wale keyword par focus karte hue apne blog ke post karna chahiye jisse Adsense CPC ko aasani se badhaya jata hai


4 Tips – Target Country

Jaisa ki hamne pahle upar bhi bataya ki High CPC Adsense Asian country ke mukabale USA, UK, Canada jaise viksit desho me adhik hota hai aise me yadi aapke visitor in country se aate hai to nischit hi apke Adsense CPC bhi high honga aur hme ish baat ka bhi dhyan in jaise country me English language hi popular hoti hai to aise me apka blog English me hai to aapko hmesa High CPC hi milta hai


To yadi aap apne Adsense ki CPC baddhna chahte hai to jab bhi post likhe aise country ko focus karke hi post dalana chahiye tabhi aapke blog ke post in desho me bhi padhe jaa skte hai jisse ki aapke blog ki CPC hmesa adhik hi milti hai


5 Tips – Low Paying ADS

Jab aap apne Adsense ke dashboard me jate hai to waha Adsense Dashboard me Allow ya block Ads ka option milta hai jis option ke jariye aap Low CPC wale ads ke URL ko block kar sakte hai aur iske alawa General Category aur Sensitive category ke jariye low performance wale category ko bhi block kar skate hai aisa krne se apke blog par high CPC wale ads show honge

Jiske jariye aap apne blog ki CPC ko bahut hi aasani se badha skte hai

No comments:

Post a Comment