Thursday, 5 July 2018

Blogging me Success hone ke 17 Tips janiye in hindi - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blogHindi Idea me aaj hum aapko batayenge ki Blogging me Success hone ke 17 Tips kon - kon se hain .

Blogging me Success hone ke 17 Tips

1: Apne Interest ke Topic par hi Blog Banaye
Bhut se Blogger starting me jo galti karte hai wo ye ki wo dusre blog ko dekh kar ussi topic par apna blog bana lete hai ki ye itna popular hai to ham bhi aese hi popular ho jayege.. par ye unki sabse pheli or sabse badi galti hoti hai.

Starting me jos rhata hai or Post bhi dalte hai par kuch time baad ye samaj nahi aata ki kis topic par post dale or aage kya kare or is trha dihre dhire ek din aesa aata hai ki wo hamesa ke liye blogging ko Good Bye bol dete hai.

Aap Apna Blog kisi bhi Topic par bana sakte hai aesa jaruri nahi hai ki jo phele se hai ussi par aap apna blog banaye, Sabse Phele Apna Interest ka Pata kare kis chij me hai or fir ye soche ki me usme kya kar sakta hu jisse logo ki help ho or jiski logo ko jarurat bhi ho.

2: Hamesa Kuch na Kuch Nay Sikhte rahe
Aapne Blog Bana liya jisme aapka Interest hai to ye bhut achi baat hai, Q ki agar aapka Interest hai us chij me to aap hamesa kuch na kuch naya sikhne ki kosis karte rahege..
Sikhna Band to Success Khatam
Agar aapne Sikhna Band kar diya to ek din aesa aayega jab aapke pass kuch hoga hi nahi apne blog par dalne ko.. To hamesa kuch na kuch sikhte rahe or usko apne tarike se use karte rahe..

Aapka Blog jis topic par hai aap uske har topic ki nai jankari aapko pata hona chaiye, uske liye jitni bhi jagha hai jaha se uski jankari mil sakti ho, wo use kare.

Blogging me Success hone ke 17 Tips janiye in hindi - Hindi Idea


3: Blogging ko Time De
Blogging me sabse important ye hai ki aapko apne upar dhairy rakhna hoga. blogging ek din ka job nahi hai. blogging me aapko samarpan, dhairy aur haosale ki jarurt padti hai.

Agar aapka blog Dhire Dhire aage badh raah hai to iska ye mtlab nahi ki aap blogging me fail ho rahe hai balki iska ye mtlab hai ki aap blogging me long term success ke liye jaa rahe hai.

Yadi aapne apna blog start kar diya aur 1-2 month tak aapke blog par traffic nahi aa raha hai to aapko ghbarane ke jarurt nahi hai balki aapko apne kaam par aur focus karne ki jarurt hai kyoki long term blogging me success hone ke liye time to legega hi isliye aapko apna dhairy banaye rakhna hoga.

4: Dusre se Compare Naa Kare
Yaha me aapko ek baat batana chahuga ki duniya me koi bhi aese 2 insaan nahi hai jiski finger prints milti ho, tikh ussi trha har insan ka alag alag talent hota hai, alag alag chamta hoti ahi or har ek ki alag alag limit hoti hai.

To agar aap apne aapko kisi dusre blogger se compare karege jo phele se success hai or bhut time se blogging kar raha hai to aapko lagega aap ye nahi kar payege or is trha aap blogging ko choadne ki disa me badne lagege.

Aap ye dekhe ki saamne wali ne kitne time tak kitni mhanat ki jab wo is mukam par hai to aapko bhi mhanat to karni padegi..

koi bhi ek Raat me aamir nahi ban sakta, agar koi ban bhi jata hai to wo aamiri bhi sirf ek raat ki hi rhati hai, jab uski nind khulti hai to wo wahi hota hai jaha wo tha.

Ye sab khane ka mera sirf itna matlab hai ki aapka jo talent hai usko aap or improve kare or logo ke saamne usko rakhe.. aapko dhire dhire hi sahi par Success jarur milegi.

5: Apni Har Chij ko Track kare blogging me
Agar aapne Apna Blog Bana liya hai or aap uspar kaam bhi kar rahe hai or bhut mhanat bhi kar rahe hai par uske sath sath aapko apni blog ki puri gati bidhiyo par bhi najar rakhni hai.

Aap dekhe ki aapke blog ke visitor kaha se aa raha hi, Kitne Visitor aa rahe hai, wo kya padna jada pasand karte hai, kis chij me ao aapki site open karte hai, kha ke hai wo visitor, kitni der wo aapki site ko open karke rakhte hai, site ka bounce rate kya hai.. aesi or bhi bhut si chije hai jinpar aapko najar rakhni hai or dekhte rhana hai ki kya acha ho raha hai or kya bura.. Aap ye Puri Jankari Google Analytics ki madad se le sakte hai apni site ki.

Apne Blog ke Comments ko bhi dekhe usse bhi aapko apne visitor ke interest ke ware or acha idea ho jayega ki unko kesi jankari chaiye or unko kya pasand hai or kya nahi wo bhi pata chal jayega.

6: Blog ka Design or Speed par bhi Dhiyan de
Ye Point bhi Important hai, Hame apne blog ki design or uski loading speed par diyan dena bhut jaruri hai..

Agar hamare blog ki design achi nahi hogi to visitor uspar double se aana pasand nahi karege jo hamare blog ke liye bilkul bhi acha nahi hai… Is liye Ec acha Template use kare apne blog me jo Mobile or Computer dono me achi se khulta ho.

Loading Speed bhut bhut maine rakhti hai, Q ki agar hamari site jada time legi open hone me to koi usko open hone ka intjar nahi karega or site ko open hone se phele hi band kar dega.. is trha se to hamari mhanat hi barbad ho sakti hai.. Is liye Blogging ki design or uski Speed par jarur dhiyan de..

7: Hamesa Badiya Contant Dale
wese to is Point me kuch safai dene ki jarurat nahi hai muje ki Q acha Contant dale.. Ye to sabko pata hai sabko achi chij hi pasand aati hai to agar aapka jo contant (Post) wo achi hogi to log usko pasand karege or aapke blog par war war aayege..

Jo Bhi Contant dale, sabse phele uski puri jankari khud lele.. kahi aesa naa ho aapko adhuri jankari ho or uski baja se kuch galat chij share karde.. isse aapko aage chal kar bhari nuksan ho sakta hai.

Ye Kuch Chije jo aapko Post karte same dhiyan me rakhna hai:

SEO Friendly ho
User Friendly ho
Jiski Logo ko jarurat ho wo chij ho usme
Post Fromate acha ho

8: Evergreen Content Likhe aur usko Update kare
Evergreen Content ka mtlab fresh content jo naya ho acha ho or kahi dusri jagha naa ho, jiski jarurat lambe time tak padti rahe.

Evergreen Content long term blogging me success karane me ek aham bhumika nibhate hai. To Jitne bhi aese topics hai aapke blog ke topic se sambandit uspar badiya post jarur likhe.

Ham Simple Sabdo me kha sakte hai ki agar aapke blog par aese post hai jo hamesa kaam aani hai to hamesa us post par traffic aati rahegi…

Agar aap badiya badiya ever green post karte rahege to aapko long time blog me usko bhut hi bada faida hone wala hai.. to ab se is baat ka bhi dhiyan rakhe ki ever Green contant bhi bhut jaruri hai.

9: Earning par Focus kare , par Phele Visitor par dyan de
Blog Banane ka Jada tar logo ka Maksad hota hai usse paise kamana, Par bhut se blogger yaha bhut badi galti kar dete hai jo uske Blogging ko Good Bye khane ka karan banti hai.

Hota hai ye ki jo New Blogger hai wo Blog banaye to der nahi hui or paise dekhne lagte hai ki meri itni earning hogi, ye hoga wo hoga..

Paisa Sirf Uske Pass Aata Hai Jo Us Paise ke Layak ho.

Par asliyat me aapko batata hu Paise aapke pass jab hi aayege jab aap paise ke layak hoge.. Agar aapke Blog par bhut jada Traffic aati hai to hi aap acha Paisa Kama sakte ho usse..

Ab agar aap Apne Traffic ko Badane ki bajaye sirf apni earning dekhege to usse earning me koi badotri to hogi nahi, balki aapka Blogging se Interest hatta jayega.. Isliye Earning par bhi dhiyan de par usse phele un chijo par dhiyan de jinse aapki earning honi hai.

10: Regular Hokar Kaam kare
Regular rhana bhi bhut jaruri hai agar aapko blogging me long time tak tikhe rhana hai to.

Regular se ye matlab hai ki aap bhale do din me ek post dale ya 4 din me par ye fix rakhe.. Isse ye faida hai ki jin logo ko aapki post pasand aati hai unko pata rahega ki aaj bhi kuch New Post aai hogi or fir wo aapke blog ko open karke dekhege..

11: Social Sites Par Active rahe
Agar Aapka Blog hai or aapko usko logo tak phuchana hai to aapko Social Media ki madad leni padegi or uske liye aapko inpar bhi active rhana padega.

Aap apne blog ke liye Facebook Page, Twitter Page, Google Plus Page Banaye or jab bhi koi New Post kare apne blog par in sab par usko share kare.. jisse jin bhi logo ne usko Like ya Follow kiya hoga unko aapki New Post ki Jankari Mil Jayegi.

12: SEO ke ware me Pata hona bhi jaruri
SEO ka Matlab Search Engine Optimization. SEO me ham apne blog or uski post ko is trha se likhte hai or set karte hai jiski baja se wo search me aasani se aa jaye or jab koi search kare Google me to hamaro post SEPR (Search Engine Page Result) par hamari Post dikhe or wo uspar click karke hamare blog par aaye..

Agar hamara Blog search me hi nahi aayega to ham kitni bhi acha content likhe wo sahi logo tak phuch hi nahi payega or hamari mhanat ka mahe pura fal nahi mil payega.. jo Long Term blogging ke hisab se bilkul bhi acha nahi hai.

13: Sirf Apna Matlab Naa Dekhe
Agar aapka Blog hai to aap sirf apna faida naa dekhe ki aapke visitor bade, aapki income bade.. Me ye nahi kha rhaha aap apne ware me naa soche par agar aapko lambe time tak blogging me bane rhana hai to aapko apne sath sath dusre logo ke ware me bhi sochna padega..

Aap Apne Visitor ko kaise achi se achi subhida de sakte hai uske ware me soche or wo kare.. Dusre Blog par jab bhi koi post pade to post ko padne ke baad ek acha comment kare jarur kare.

Agar kisi site ki koi Post Pasand aati hai to ye nahi ki usko apni khud ki site par dale, balkul us Post ko Share kare Social Network par.. Isse aapka us website ke owner ke sath ache relationship to banega hi sath sath aapke jo visitor hai agar unko bhi usse faida hoga to wo bhi aapki ijjat karege.

14: Kabhi kisi ki Copy Naa Kare
Ye Galti bhi bhut log kar dete hai or fir unko iska uska parinaam bhugatna bhi padta hai.

Kuch Blogger kya karte hai ki wo dekhte hai ki is site par ye jada popular hai to usko thoda bhut change karke apni site par daal dete hai.. par aesa karne se ho sakta hai unko thode time ke liye faioda ho jaye, par lambe time ke hisab se wo bhut badi galti kar rahe hai..

Agar ham kahi se copy karke koi post dalege to kon hoga jo hamare blog par aayega original contant ko choadd kar.. or Google Search Engine bhi din wa din smart hota ja raha hai to copy karne walo ke hath akhri me nirasa hi hath lagni hai.

15: Apna Aur Blog Ka Ek Network Banaye
Network Banane se khane ka matlab dusre logo se apna acha relationship banaye, Dusre logo ki Help kare taki wo bhi aapki help kar sake.

Acha Network banane ke liye Hamesa Dusro ki Help kare, or kabhi bhi koi galat chij naa bataye kisi ko bhi..

Hamesa Blog par agar koi comment aaye to usko acha sa reply kare, or agar koi question hai to uska jabab jarur de.. isse jisne comment kiya hai usko to help milegi hi sath sath dusre jab us comment ko padege to wo bhi aapko pasand karne loagege..

Is Trha se Bana sakte hai dusre logo ke sath ache Relation:

Hamesa acha Contant dale jisse logo ki help ho
Comments ka reply jarur de
Dusre Blogger ko support kare
Social Media par Active rahe
kabhi kisi ke ware me kuch galat naa soche
Logo ke sath judav se aapko bhut hi faida hone wala hai..

16: Kabhi Bhi Jaldi Baaji Naa Kare
Yadi aapke blog par traffic nahi aa raha hai aur aap sortcut tarika dhudh rahe hai blog par traffic lane ke liye to ye aapke liye sahi rasta nahi hai.

Aapko ek baat ko dhyaan me rakhna hoga ki sortcut traike se aap lambe time tak blogging nahi kar sakte hai. blogging me success hone ke liye aapko blogging ke rule ko follow karna cahiye aur aapko blogging ke rule follow karne me time to lagega lekin iske sath sath aapko iska badiya result bhi milega.

Yadi aap blogging me apna career banana cahate hai to aapko kabhi bhi jaldi baaji nahi karna hoga. Kabhi bhi dusre ki success dekh kar bheraye nahi, balki or acha kaam kare to aapko bhi success jarur milegi.

17: Blog Ke Backup aur security par bhi dyaan de
Hamne Blogging me kya karna hai or kaise karna hai wo to sab dekh liya, Par unke sath sath hame apne blog ki security par bhi dhiyan dena bhut hi jaruri hai.. Nahi to Pata chale kisi choti si galti ki baja se ham apni puri mhanat ko gava bethe.

Hamesa Apne Blog ka Backup le kar rakhe, Taki agar kabhi hamare sath galti se koi gadbad ho jaye to ham usko aasani se tikh kar sake.
Apni Blog ki security par bhi dhiyaan dena bhut jaruri hai.. warna koi hamare blog ke sath kuch galat bhi kar sakta hai… wese agar ham kisi ka galat nahi karte to koi hamara galat karega to nahi.. Par jitna hamare hath me hai security ka usko hame dhiyan dena bhut jaruri hai.
Or aapne jo blogger me email use kiya hai usme Google Gmail 2 Step Verification Enable jarur kare security double karne ke liye.

Ek baat or jo me aapse khena chahuga ki ham koi bhi kaam kare usme ham jab hi acha kaam kar sakte hai jab ham us kaam ke liye motivate ho.. To Agar aapko Motivate hona hai to aap yaha click karke Articles Pad sakte hai.

No comments:

Post a Comment