Thursday 19 July 2018

Hackers se kaise bache ? janiye 5 tarike - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki aakhir aap apne blogs or websites ko hackers se kaise bacha sakte hain .

Hackers se kaise bache ?

Aisi koi bhi Hardware aur software nahi jisse hack nahi kar sakte. Jaise hi aajkal internet users badh rahe hai woise hi internet par crime bhi jyada ho rahi hai. Jisse ham Cyber crime kehete hai. Aur ye shabhi hackers karte hai. Jaise kisika mobile hacking, WhatsApp Hacking, Facebook, Websites aur personal data hacking etc. Maine apne pichli post main aapko Hacking kya hai is bare me details me bataya tha. Is post par main aapko hackers se kaise bache is bare me bataonga.

Hackers se kaise bache ? janiye 5 tarike - Hindi Idea


 Jisse aap apne har account jaise social sites, Gmail, Bank Account aur apni data ko secure rakh sakte hai. Aur koi bhi hackers asani se aapki data ko hack nahi kar sakenge.

Hackers se bachne ke 5 tarike 

Main Aapko kuch aise tips bataonga jisse agar aap Internet use karte ho to aapko inhe jarurat hi follow karna chaiye. Nahi to kya pata konsa hacker aapki personal data ko hack karke uski misused bhi kar sakta hai. So internet users ko apni account and data ko secure karne ke liye in tips ko follow karna bahut hi jaruri hai.

1) Apni Mobile/ Computer Par Anti Virus Use Kare

Anti virus aapki device ko virus attack se save karti hai. So aapki mobile aur computer me aap hamesa ek anti virus ka use kare. Aur aaj kal aapko bahut se badiya anti virus software free me bhi mill jayegi.

But cracked aur regular update nahi hone wala anti virus software ko aap kabhi bhi use mat kare. Because cracked software agar aapki device me hogi to hackers asani se aapki device ko hack kar sakte hai.

2) Always Strong Password Use Kare

Internet par aapko kuch bhi karne ke liye username aur password ki jarurat hoti hai. Aur password aisi chiz hai jisse aap kisi dusre ko share nahi kar sakte. But bahut se users apni password ko strong nahi banate aur bahut hi easy rakhte hai. Aur easy password koi bhi hackers asani se hack kar sakte hai.

So aap apni password kabhi bhi name, date of birth, mobile number, 123456789, ya name ke baad 123 is type ka kabhi bhi mat rakhe. Kuy ki aise password koi bhi Hacker badi assani se pata kar lete hai.

Isliye password par hamesha word ya numbers ke sath kisi special characters aur Digit ko bhi add kare. Jaise, N#53hfj><qpbt.@%

Aur ek baad hamesha yaad Rakhe ki aapke jitne bhi account hai unpar alag alag password use kare. Nahi to koi agar aapki ek account par access ho gaya to wo aapki baki shahi account par bhi easily access karega.

और पढ़ें -
Hacking kaise shikhe ?
Professional hacker kaise bane ?
Whatsapp hack karne ke best tarike
Facebook account hack hone se kaise bachaye
CMD hacking commands kya kyu kaise ?
SQL injection kya kyu kaise ?
ABC of hacking 
Hacking ke basic terms 
Duniya ke sabse bade hackers

3) 2 Step Authentication Use Kare

Two step Authentication use karne se agar koi hacker aapki passwords ka pata karle aur aapki account par access karna chahe to bhi usko OTP ki jarurat hogi.

Jo 2 step Authentication enable karne se aapki mobile par aata hai. Aur jab tak OTP add nahi kiya jata aapki account open nahi hogi. So aap apni every account par 2 step Authentication enable kare. Aur apni account ki security strong banaye.

4) Online Payment Me Virtual Keyboard Ka Use Kare

Aaj kal har koi online payment method ko use karte hai aur bahut se work ke liye ya online kuch purchase karne ke liye online payment karna padhta hai.

Aur agar kisine aapki device par keylogging virus dal diya to aap apni keyboard par jo bhi type karoge wo hacker ko pata chal jata hai.

So aise attack se bachne ke liye aap virtual keyboard ka use kare. Aur apni account ko secure rakhe. Sath hi aap ye bhi check kare ki aap jaha par online payment kar rahe hai uski URL https se start honi chaiye. Agar https nahi hai ya https par cut ka nisan hai to aap woise site par payment mat kare.

5) Don’t Use Public Wi- Fi

Agar hame free public wifi milti hai to ham use turant hi use karte hai. But kya aap jante hai ki public wifi use karne se agar koi hacker bhi uss public wifi ko use kar raha hai to wo easily aapki data, account par access kar sakta hai. Aur aapne suna hi hoga ki hackers jyadatar public wifi ka hi use karte hai kisi bhi chiz ko hack karne ke liye.

So aap ho sake to public wifi use mat kare. Aur agar kabhi public wifi use karna padhe to aap Play store se VPN  Download kare.

To dosto agar aap ko yeh jankari aachi lagi ho to hame please comment karke jaroor bataye.

3 comments:

  1. post ke lie dhanyavaad. aap baiststpnrating.som par proksee ke baare mein saaree jaanakaaree dekh sakate hain. yah sabhee sambhaavit veepeeen se sambandhit samasyaon ko hal karega.

    ReplyDelete