Saturday, 21 July 2018

Facebook account hack hone se kaise bachaye ? killer method - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki  aap apne facebook account hack hone se kaise bacha sakte hain.

Facebook account hack hone se kaise bachaye ?

Facebook account ko permanently hack hone se bachane ki jankari – facebook ek aisi social networking site hai, jisko all world me sabse zyada use kiya jata hai. ye world me jitni zyada popular hai, outna hi zyada eske hack hone ka khatra bana rehta hai. many hackers, fb users ke account hack karne me lage rehte hai. aur hamari taraf se zara bhi galti hone par we hamare fb account ko turant hi hack kar lete hai.

Hacking ki problem badhne ki wajha se facebook ne apni security aur adhik high kar di hai. bas, hame apne fb account ki setting me jakar kuchh changes karne honge. Phir koei bhi hackers hamari fb id ko hack nahi kar sakega. Aur hamarai personal information ke sath sath fb posts aur photos bhi safe rahenge.

Agar aap kisi bhi social networking site ko use karte hai, to ouski security settings me jakar complete setup zaroor kare. Agar security setting ko ignore karenge to hamara account hack hone me zara bhi time nahi lagega. Es post me ham esi topic par baat karnege, aur janege ki.. facebook account ko hack hone se kaise bachaye? Fb account ko safe kaise rakhe or secure kaise kare?

Facebook account hack hone se kaise bachaye ? killer method - Hindi Idea


Facebook account hack hone ke many reason ho sakte hai. but jin reason ki wajha se hamari fb id sabse zyada hack hoti hai. es post me mai enke bare me bataounga. Agar aap es post me bataei ja rahi tips ko follow karenge to kafi had tak apne fb account ko hack hone se bacha sakenge.

Facebbok account ko hack hone se bachane ke steps

Chaliye, jaan lete hai ki koun koun si security setting ka setup karke ham apne facebook account ko hack hone se bacha sakte hai. aur apni fb id ko secure aur safe kaise rakh sakte hai.

Login alert ko enable kare – facebook hame login alert ki facility provide karti hai. jisko enable karke ham login alert notification apne email address par aur fb account me pa sakte hai. esse hame ye pata chal jata hai ki hamara account kis device par aur kis location par login kiya gaya hai.

Login alert ko enable karne ke baad agar hame notification receive hoti hai. aur hamne notification me show ho rahe device aur location par apna account login nahi kiya thah. To hame turant apne password ko change kar lena chahiye.

Mobile number aur email address ko hide kare – agar aap ek fb user hai, to kabhi bhi apni contact aur personal information ko publically show na kare. Contact or personal information ko only friends ke liye hi show kare. Agar aap ke fb account me bahut sare anjaan log bhi hai, to phir apni contact aur personal information ko hamesha hide kar ke hi rakhe.

Kyuki aapke mobile number aur email address milte hi hackers ko fb account hack hone me aasaani ho sakti hai. esliye apni contact aur personal information ko show karne ki galti kabhi na kare.

Kisi bhi malicious link par click na kare – fb users ka account hack karne ke liye hackers ounhe message me malicious link send karte hai. jis par click karte hi fb users ki personal details hackers ke paas pahunch sakti hai. esliye kisi anjaan person ke through send kiye gaye aur ajeeb se dikhne wale kisi bhi link par click na kare.

Friends aur family members ko hi fb friend banaye – facebook hame total 5000 friends banana allow karta hai. ham 5000 se zyada logo ko apni fb friend list me add nahi kar sakte. But, eska matlab ye nahi ki ham kisi ko bhi fb par apna friend banaye.

Hame only apne friends aur family members ko hi apni fb friend list me add karna chahiye. Warna, anjaan insan hamara fb friend bankar hamari personal information ko chura sakta hai.

En sabhi bato ko follow karke ham  apne fb account ko kafi had tak hackers se secure kar sakte hai. aur apni fb id ko hack hone se bacha sakte hai. fb team ne hame security ke liye bhut sari settings provide ki hoei hai. hame oun sab ka use karke apne account ko safe rakhna chahiye.

No comments:

Post a Comment