Wednesday 18 July 2018

WordPress admin password reset kaise karte hain ? killer method - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki WordPress admin password reset kaise karte hain ?

WordPress admin password reset kaise karte hain ?

WordPress Blogging ke lie sabse zyada use hone wala Platform hai. Agar apko nahi malum ki WordPress kya hai to aap main apko bata dun ki ye ek Content mangement system hai. Jise short me hum CMS bhi bolte hain. Yahan Users ko hazaro plugins aur theme free me milte hain.

Bahut sare Blogs to itne bade hote hain ki usme dher sare users content likhte hain. Har user ke lie User Id aur Password alag alag banaya jata hai.  Jisse wo kahin se bhi aur kabhi khud ke User Id aur Password se login kar sakte hain.

Aaj ke time har jagah hume account create karna padta hai. Aur is wajah se hume bahut accounts ke Id aur password yaad rakhne padte hain. Aur kai baar hum confuse hokar wordpress ka password bhul bhi jate hain.

WordPress admin password reset kaise karte hain ? killer method - Hindi Idea


 Ab aise condition me hamare paas sirf ek hi raasta bachta hai. Hume wordpress admin password reset karne ki zarurat pad jati hai. Kai baar to aisa bhi hota hai ki hum password nahi bhulte aur fir bhi password invalid show hota hai. Aisa wordpress me technical issue hone ki wajah se hota hai.

WordPress admin password reset karne ke bahut sare tarike hain. Main apko yahan har wo method bataunga jisse aap apna wordpress admin password reset kar sakenge.

WordPress admin password reset karne ke methods

  • wordpress wp-admin login panel 
Ye sabse basic method hai wordpress admin password reset karne ke lie. is method ke lie hume zyada kuch karne ki zarurat nahi padti. koi bhi insan jo internet use karta hai use malum hota hai ye method.

Is method ke zariye hum bahut hi aasani se apna wordpress admin password ko reset kar pate hain. Iske lie simply hum Login Panel par jate hain aur Lost your password? par click karte hain.

Uske baad hume apna Username ya fir registered email address dalna hai aur Get new passowrd ke button par click kar dena hai. Bas iske baad hume email me password  reset karne ka link mil jaega, jise click kar ke hum naya password create kar lete hain.

  • wordpress admin password reset kare cpanel ke zariye
Kai baar aisa hota hai ki hume password yaad rehta hai aur hum password sahi dalte hain, fir bhi login karne par Inavlid user id password show karta hai. Ye technical issue ki wajah se hota hai jisse system files me error hone ki wajah se userid password ko invalid batata hai.

Is problem ka bhi solution bahut aasan hai. Jab hum password yaad rehta hue aur sari login details sahi hone par bhi login nahi kar pate. To iske lie hum cPanel me jakar WordPress admin password reset kar sakte hain.

Basically iske lie hume apne Hosting Provider company dwara die gae cPanel ke login details ka use karke cPanel open kar lena hai. Iske baad hum Installtron Application ya fir Web Application ke andar WordPress Blog me click kar lenge. Yahan apne blog ko select kar ke Setting ko click kar lena hai.

Jaise hi hum click karte hain to niche hume Admin aur password ke box mil jate hai. Jahan se hum Administrator username aur password dono change kar sakte hain. Uske baad simply Save all par click kar lena hai

Finally Is tarike se humne username aur password dono hi ek sath change karna sikha hai. As a result is tarike  se hum bahut hi aasani se password ko reset karne ke sath username bhi badal sakte hain.

  • reset password by phpmyadmin
Ye kaafi advance method hai wordpress admin password reset karne ka. Iska istemaal hume karne ki zarurat kyu padti hai? Because kabhi kabhi hum WordPress login panel aur Installtron application me password jab reset karte hain to error ho jata hai.

Jab upar bataye gae dono tariko se hume password reset karne par Error messege aata hai. Aur hum Password reset nahi kar pate to hum kaafi pareshan ho jate hain. Actually ye mere sath ho chuka hai aur main kaafi pareshan ho gaya tha. Because jab hum sare option try kar lete hain to fir lagta hai ki account reset nahi kar sakenge.

Lekin jab pareshani zyada hoti hai to sikhne ka mauka zyada milta hai. Main inhi problems ki wajah se aaj ye post likh raha hu jo maine khud face kiya hai.

Is method me bhi hume cPanel me hi jana padta wahan Database ke niche phpMyAdmin me jana hai. Wahan hume pehle apne domain ka Database select karna hai. Ye apko left side me mil jaega. Uske baad use clcik karne par uske andar bahut se folders open hote hain. Jinme se hume sirf wp-users folder select karna hai.

WP-Users folder ke andar me hum wordpress me registered sare users aur uske password aur sath hi sath email id bhi show ho jata hai. Hum yahan se sari details aasani ke sath change kar sakte hain. Iske sath hi admin ki details bhi change kar sakte hain.

phpmyadmin me wp-users ke andar password reset karne ka method

Yahan par password ko normally hume MD5 hash tag form me daalna padta hai. Ise hum simple words me yahan nahi daal sakte. To iske lie hume kya karna padega?

Iske lie aapko basically is address MD5 Hash Generator par jana hai aur apne password ko enter karna hai. Enter karne ke baad simply MD5 Hash form ke lie Generate par click kar lena hai. Jaise hi aap Generate par clcik karenge apko password ke lie MD5 hash generate ho jaenge. Ab apko inhe copy kar lena hai aur jahan password ka box hai wahan ise paste kar lena hai.

Finally is last method se apka problem 100% solve ho jaega. Kyu ki ye sabse best method hai wordpress admin password reset karne ke lie.

No comments:

Post a Comment