Friday 20 July 2018

Online marketing kya kyu kaise ? - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko online marketing ke bare me puri jankari denge.

Online marketing kya kyu kaise ?

Koi bhi business, firm ya shop ho uski marketing karni jaruri hoti hai. Business me koi bhi product ho uski quality advertise me show karna taki clients use kharide jisse apko benefits ho, ise hi marketing kahte hai. Marketing me business ka aim apne product ko jyada se jyada bechna aur profit kamana hota hai.

Online marketing kya kyu kaise ? - Hindi Idea

Aaj ke badhte is internet ke time me marketing ko internet par kafi badi companies kar rahi hai. Jis tarah se bina internet ke logo tak apne product ke bare me jankari dene ke liye banners and hodding lagate hai usi tarah internet par bhi banners, links, videos, texts etc. me advertise hoti hai, jise online marketing yaani digital marketing kahte hai.

Online Marketing kya hai ?

Online marketing ka means sirf yah hai ki internet ke through apne aap ko, ya business ko ya apne products ko bechne ke liye felana.

Online Marketing Ka Future

India me internet users kafi tezzi se badh rahe hai, kyonki india me internet technology abhi develop ho rahi hai. Aur abhi ke time me bhi dekhe to India me almost kafi achhe tarike se online shopping ka use hone laga hai.

Agar aap online koi bhi chij kharid sakte hai, to use bech bhi sakte hai, example: amzon, flipkart, ebay jaisi kai badi companies ki site par aap apne products sale kar sakte hai. Yani agar apko online koi bhi sale karne ki shop kholni hai to apko apni khudki site hona koi jaruri nahi hai.

Online marketing ke badhte scope me isko lekar India me kafi coaching centers and classes bhi hai jo online marketing sikhaati hai, aur YouTube me bhi kafi channels apko aisi mil jaege jo internet marketing ko sikhaate hai.

Internet Marketing Ke Fayde

Agar apke pas me koi blog hai, jaha par kafi log apke articles ko padhne ke liye aate hai tab then aap chaho to waha par kisi companies ke products ki marketing karke commission earn kar sakte hai.

Online business kafi had tak offline business se aasaan hai. Online business kafi kam investment me shuru kiya jaa sakta hai.

Waise agar dekhne jaye to internet marketing ke kafi nuksan bhi hote hai lekin agar fayde aur nuksan ki bat kare to online marketing ke fayde hi jyada nazar ayenge aur jis chij ke jyada fayde hote hai uska trend aata hi hai us field me scope badhta hi hai.

Internet Marketers and Online Entrepreneur

Jo business man online marketing karta hai use internet marketer ya online entrepreneur kahte hai. Yani jis person ke pas business ko online promote karne ki achhi skills ho.

No comments:

Post a Comment