Friday, 20 July 2018

Chrome me popup kaise block karte hain ? - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki Chrome me popup kaise block karte hain .

Chrome me popup kaise block karte hain ?

Aap sab log internet ka use to karte hi hai or aapne kai bar aisi website bhi visit ki hogi jaya par aapke jate hi popups hi popups aapke samne aa rahe hoge vo chahe email marketing vale ho ya kisi advertise ke honge . In sab popups ko dekh ke aapka dimaak bhi kharab ho gaya hoga kuki inse badi problem hoti hai . Kai bar to kahi ka kahi click ho jata hai or bahut hi ganda feel hota hai . Fir aapne apne man me socha hoga ki ye Popups ko kaise block karte hai ya in Popups ko kaise disable kare .
 
Google chrome ko bahut sare log use karte hai or india me computer user ho chahe mobile user, google chrome browser sabse jyada use hota hai . Computer me jab popups aate hai to hum kisi tareh se unko manage kar lete hai , par mobile me jab is type ke popups kisi website par aate hai to kafi jyada problem ho jati hai . Jitne bhi browser hai jaise google chrome, Firefox, Opera, UC Browser in sab me phale se hi popups blocker rahta hai . Par bahut sare user ko iske bare me koi jankari nahi hoti hai jiski vajeh se vo paresaan rahte hai . Aaj hum google chrome ke popups block karne vale feature ke bare me janege .
Chrome me popup kaise block karte hain ? - Hindi Idea

Google Chrome me pop-ups ko block karna bahut hi aasan hai, bahut hi simple steps hai . Google chrome me by default popups block rahte hai par aap ek bar in settings ko check kar le ki aapke browser me sahi hai ki nahi . Me aapko google chrome browser me popups ko block karna pahle computer me bataunga uske baad hum mobile se chrome browser me popups ko kaise block karte hai usko janege .

Computer se chrome  me popups kaise block karte hain ?

Computer me jyada tar log internet chalne ke liye google chrome ka use karte hai . Maira bhi favourite browser google chrome hi hai . Kai baar hum internet pe kuch site me jate hai jaha bar bar popups aate rahte hai, Or jo hum kar re hote hai usse hamara dyaan idhar udhar chala jata hai , Kai baar to in pop-ups ki vajah se dimak ki dahi ho jati hai . Computer me hum google chrome ki settings se in popups ko aaram se rok sakte hai . Niche diye huve simple steps follow kare .

Step 01 : Apne desktop me Google chrome browser ko open kare , Chrome open karne ke bad niche ke steps ko kare . 
  • Chrome me top right side me aapko Tin dot dikhai denge , Tin Dot par click kare . 
  • Tip Dot par click karte hi aapke samne ek menu sa open hoga , Isme aap Settings par click kare 
Step 02: Settings par click karte hi aap google chrome ki settings me chale jayenge . Yaha par aap page ko scroll kare or niche ki taref jaye page ke niche aapko Advanced likha huva dikhai dega . Advanced par click kare .
 
Step 03: Advanced par click karte hi aapke samne or settings show hone lagengi , Ab aap Content settings par click kare 

Step 04: Content settings par click karte hi aap google chrome ki content settings me chale jayenge , yaha par aapko Popups likha huva dikhai dega , Popups settings me jane ke liye Popups Par click kare .

Step 05: Popups par click karte hi aap popups ki settings me chale jayenge , yaha se aap google chrome me popups ko block or allow kar sakte hai . By default  popups block rahte hai par aap ek bar check kar ke confirm kar le . red box ke ander jo setting hai isse aap popups ko block kar sakte hai . Ek baat or green box me jo settings hai inse aap kisi bhi particular site me popups ko Block or Allow kar sakte hai .

Friends is tareh se aap google chrome me popups ki settings ko manage kar sakte hai or Google chrome me pop ups ko block kar sakte hai . Hamne aapko abhi computer se google chrome browser me popups ko block karna bataya . Agar isko karne me aapko koi bhi problem aa rahi hai to aap niche comment kar ke hame bataye ham aapki jarur help karenge . Chaliye ab ham ye jante hai ki mobile se google chrome me pop ups ko block kaise karte hai .

Mobile Se Google Chrome Browser Me Popups Kaise Block Kare

Mobile me bhi aap google chrome ka use karte hi honge or mobile me chrome browser me internet chalate chalte kai baar ham aisi websites ko visit karte hai jaha pop ups aate rahte hai jisse mobile me bahut problem hoti hai . Lakin aap bade aaram se is problem se chutkara pa sakte hai . Bas hame kuch aasan si settings ko karna hai . Chaliye jaldi se in settings ko jante hai .

Step 01: Android mobile me google chrome me popus ko block karne ke liye sabse pahle aap apne mobile me google chrome browser ko open kare . Open karne ke baad niche ke step ko kare .  chrome me popups ko disable karne ke liye hame settings me jaana hai  .

Google chrome browser ko open karne ke baad top right side me appko Tin dot dikahi denge us par click kare . 
Jaise hi aap top right side me Tin Dot par click karenge aapke samne ek menu open ho jayega, yaha par aapko Settings ke uper click karna hai . 

Step 02: Settings par click karte hi aap google chrome ki settings me chale jayenge .

Google chrome ki settings me jane ke baad ab hame yaha par Site settings par click karna hai . 
Site settings par click karte hi aap google chrome ki site settings aapke samne open ho jayegi, yaha par aap Pop-ups par click kare .

Step 03: Pop-ups par click karte hi aapke samne google chrome ki pop-ups ki setting aa jayegi .  Yaha se aap google chrome me pop-ups ko allow or block kar sakte hai . By default google chrome me popups block hi rahte hai .

Friends is tareh se aap Android mobile ka use kar ke google chrome browser me pop-ups ko block kar sakte hai . Jaisa ki maine aapko pahle hi bataya ki by default pop-ups block rahte hai , par aap ek bar isko check jarur kar le . Umied hai ki ab aap jaan chuke honge ki android version ke google chrome me pop-ups ki settings kaha par hoti hai or aap isko kaise apne hisab se set kar sakte hai .


No comments:

Post a Comment