Friday, 20 July 2018

Pan card ki status ko kaise check kare ? full guide - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki kaise aap apne pancard ki status ko check kar sakte hain.

Pan card ki status ko kaise check kare ?

Pan card status check karne ke liye apko mobile ya computer ki jarurat hogi aur usme internet bhi aur pan card apply karte time apko jo "ACKNOWLEDGEMENT NUMBER" diya gaya tha wo 15 digit ka number bhi apko pata hona jaruri hai nahi to aap online apna pan card status check nahi kar sakte. To chaliye jan lete hai online pan card ke status check kaise karte hai.

Pan card status check karne ke liye steps :-


Apko pahle hi bata diya hai is kam ke liye apko kya kya jarurat hai, abhi apko sirf niche bataya huya step ko follow karna hai aur apna pan card status check karna hai.

Step 1. Sabse pahle aap "tin.tin.nsdl.com" is website par visit kare, uske bad apke samne jo website open hoga usme apko kuch option milega, niche screenshot ko follow kare.

1. Application Type : Yaha apko "PAN - New/Change Request" option ko select karna hai.

2. ACKNOWLEDGEMENT NUMBER : Is box apko jo 15 digit ka number mila tha pan card apply karte time wo no type karna hoga.

Pan card ki status ko kaise check kare ? full guide - Hindi Idea


3. Text Type : Upar jo box me text show ho raha hai usko dekh kar same type kare.

4. Sab kuch sahi se dalne ke bad niche "Submit" par click kare.


Step 2. Submit par click karte hi apke samne apke pan card ke status show karega, aur apke pan card kab dispatched huya hai wo bhi apko dikha dega.

Note: Apko pata chal gaya hai ki Pan card office se apka pan card ko dispatched kar diya hai, abhi apke pan card post office ke madham se apke pass ayega aur isi liye apko thoda wait karna hoga, agar apko post office ke status track karna hai to apko wo bhi kar sakte ho.

Post Office Status Track Kaise Kare ?

Upar ke step ko follow karke aap apne pan card ke status ko bahut asan tarike se track kar sakte ho aur ye bhi pata laga sakte ho ki apke pan card pan office se kab dispatched huya hai, abhi apko janna hai apke pan post office me kaha hai aur aap tak kab ayega.

Step 1. Pahle aap "www.indiapost.gov.in" is website par visit kare uske bad apke samne niche ki website open hoga, jisme apko kuch information dena hoga.

1. Consignment Number : Yaha apko jo Consignment Number mila hai wo type karna hoga.

2. Type Code : Jo Text code show ho raha hai usko same tarike se type kare.

3. Right side par apko "Search" ka option milega us par click kare.


Step 2. Search par click karte hi apke samne post office ke status show karega, aur aapko pata chal jayega ki apke pan card abhi kis jaga par hai har roj apko status milte rahe hai, aur apko ye bhi pata chal jayega ki post se apko pan card kab tak milega.

No comments:

Post a Comment