Saturday 30 June 2018

Digital Marketing क्या क्यूँ कैसे ? - Hindi Idea


हैलो दोस्तों स्वागत है आपका हमारे ब्लॉग Hindi Idea में आज हम आपको बताएँगे कि Digital Marketing क्या क्यूँ कैसे ?

Digital Marketing क्या क्यूँ कैसे ?

Hello dosto aaj ke post me aap sabhi ka welcome hai aaj ka post bahut hi achha hone wala hai is post me main aap logo ko internet ke ek aur khubi ke bare me jankari dene wala hu jo aapke liye bahut hi jyada value rakhta hai.

dosto aapne digital marketing ka name to suna hi hoga. aaj ham usi par baat karne wale hain. aur seekhne wale hain ki digital marketing kaise kiya jata hai ye digital marketing kya hai ? iske bare me puri jankari is post ke madhyam se diya jayega.

Digital Marketing क्या क्यूँ कैसे ? - Hindi Idea


dosto agar aap internet use karte hain to aapko iski thodi si jankari jarur honi chahiye jisse agar aapko koi isse related work mile to aapko bahut jyada problem face karna na pade. ab friends ye digital duniya me digital marketing ki jankari hona jaruri sa ho gya hai.

agar aapko digital marketing me interest hai ya fir aap new hain to aapke liye ye post kuchh important hone wala hai. isme digital marketing ki puri jankari hindi me diya jane wala hai.

Digital Marketing kya hai ?

Dosto jaisa ki iske name se pta chal rha hai ki digital yani online ki duniya internet ki duniya aur marketing yani ki kisi product ya kisi bhi chij ka promotion. dosto kisi bhi chij ya product ka online promotion karne ek digital marketing ka hi hissa hai.

digital marketing me hamko internet me alg alg tarike se apne product ke bare me jankari dena hota hai. digital marketing har promotion ya internet par possible work ko karne ka sabse best tariko me se ek hai.

और पढ़े -
Bouce rate क्या क्यूँ कैसे ?
गूगल सर्च की सिंपल ट्रिक्स 
गूगल सर्च हिस्ट्री कैसे डिलीट करे ?

digital marketing ka course bhi hota hai. jisme aapko iski barikiyo ke bare me achhi tarh se jankari di jati hai. aap bhi online digital marketing seekh sakte hain. kisi bhi website me jakar jaha par digital marketing ki jankari di jati hai.

digital marketing hamare kisi bhi business ko promote karne aur uski jankari ek sath kai logo ko dene ke liye bahut jyada best hai. aap sabhi jante hain ki social media me aaj ke time me log regular active hote ja rhe hain to apne business ki jankari dene ka sabse badhiya rasta hai.

aur jab aap apne product ke bare me apne profile , page ,ya fir kisi group me share karte hain. jisse vo aapke chijo ke bare me jaane. aur agar aapka blog hai to log us blog ke bare me jane aur aapke blog m jaye. aur isko hi digital marketing hai.

aap sabhi jante hain ki digital marketing me ek badhiya career hai. agar aap ek digital marketing expert banna chahte hain. to aapne apne career ke liye sahi work chuna hai. kyonki isme aapko offline marketing ki tarh yaha waha jane ki jarurat nhi hogi.

Digital Marketing Ke Types


Digital Marketing क्या क्यूँ कैसे ? - Hindi Idea
dosto digital marketing duniya ka sabse bada marketing hai. kyonki yaha par aapke product ko itne log dekhte hain jitne log offline nhi dekhte honge. aur internet kisi bhi jagah par logo ki jankari dene ka sabse badhiya tarika hai. to aaiye jante hain iske kitne prakar hain internet me.

1.Social Media Marketing – dosto ham bahut saare logo se agar hame contact banana hai to hame kisi na kisi social site ki help leni hi padti hai. aaj ke time me har work ke liye hame social media ki help hoti hai. aap social media me apna koi bhi work start kare aur achhe se kaam kare to jaldi achha response milta hai.

dosto jo log bore ho rhe hote hain vo apna time pass karne ke liye facebook aur whatsapp ya instagram use karte hain. aur agar aapne inka sahi se use karna seekh liya to aapko bahut hi jyada fayda isse hone wala hai.

jo log social media me business karte hain unse agar aap contact karke puchhenge to aapko pta chalega ki social media ne kaise unke business me help ki hai. dosto log jitna blog nhi read karte jitna youtube me videos nhi dekhte usse jyada facebook use karte hain.

so agar aap apne kisi bhi product kar promotion social media marketing se karte hain to aapke business ko success hone me bahut jyada time nhi lagega kyonki agar aapki chij achhi hai to log usko share karenge aur vo bahut saare logo ke pas chala jayega.

2. Email Marketing – friends email marketing me ham apne company ke jitne bhi product hote hain unko ham apne customers ko email ke madhyam se jankari dete hain. jitne bhi prodcut hamare comapany me update kiye jate hain. unki jankari email ke through logo ko diya jata hai.

friends ye ek achha way nhi hai marketing ka kyonki aap agar apne customers ko email ke jariye jankari dete hain to aapko email send karne me time lag jata hai. aur agar ham bahut saare emails ek hi id se send kare to shayad spamming bhi ho sakti hai.

3. SEO ( search engine optimization ) – dosto agar aapke pas ek blog hai to aapko iske baare me jarur jankari hogi. kyonki har ek blogger ko apne blog me seo karna padta hai jisse unke blog ke jo bhi post hote hain vo google me top par rank kare.

aisa hi hai digital marketing me aap jo jo work google me achhi rank paane ke liye karte hain unko hi seo marketing kaha jata hai. dekha jaye to iske liye kuchh achhe achhe seo experts ki jarurat hoti hai. aise seo seekhna online ki duniya me aasan ho gya hai. kyonki ab bahut se blog me iski jankari di jati hai.

4. Chatting ads – friends ye sabse saral tarikon me se ek hai. aur kuchh log iska use bhi karte hain. isme aapko jyada kuchh nhi karna hota hai bas apne whatsapp ya facebook ke jo bhi friends hote hain unko apne product ke bare me jankari dena hota hai.

aap ke jo bhi friends hain aur jo aapke chijo par interest rakhte hain unko aap apne chijo ki jankari de sakte hain. aur bilkul hi aasan tarike se.

5. SEM ( search engine marketing ) – dosto ye bhi aap isko read karke ye na samjhe ki ye seo ki tarh hai. lekin nhi ye seo ki tarh bilkul bhi nhi hai ye usse bahut jyada alag hai. aap seo me free seo karke apne contant aur jankari ko google me top par laya jata hai.

aur sem me ham apne post ko top par lane ke liye google ko paise dete hain. aur vo hamare website ke jo bhi post kaam ke hote hain unko google achhi position par rank de deta hai.

6. Affiliate Marketing – Friends Google adsesne ke baad blogger ka sabse best pasand paise kamane ke mamle me kaha jaye to affiliate marketing bahut hi badhiya hai. yaha par aapko kisi other site ke promotional link ko apni site me lagana hota hai.

jisse agar koi user aapki site me aakaar aapke blog ko read karke ya bina read kare us link ya banner par click karke koi bhi chij buy kare. to uske aapko 10% se 15% commission milta hai. ye e-commerce website ke marketing ka jariya hai.

7. Google AdWords – friends google adsense ke bare me to aap jante hi honge ki ye ek advertising company hai lekin kya aapko pta hai ye ads google ke pas kaise aate hain ? dosto google adsense ka ek aur site hai jiska name hai google adwards.

ye site sirf aise logo ke liye hai jo google ko apne company ke ya apne prodcut ke promotion karna hota hai. aur agar aap apne blog me achhi traffic lana chahte hain to aapko google adward use karna chahiye. ye other website se aapke blog me traffic laane ka work karta hai.

1 comment:

  1. पायें NIIT की जानकारी अब हिंदी में सिर्फ MKNIIT.COM पर WE PROVIDE NIIT CYCLE TESTS, NIIT LAB@HOMES, NIIT PROJECTS, NIIT ASSIGNMENTS, NIIT PMR AND MUCH MORE IN HINDI AND ENGLISH.

    ReplyDelete