Wednesday, 4 July 2018

Blogger blog se Quick Edit aur Wrench Icons ko hatane ke 4 methods janiye in hindi - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog Hindi Idea me aaj hum aapko batayenge ki Blogger blog se Quick Edit aur Wrench Icons ko kaise hataya jata hai ?

Quick Edit aur Wrench Icons kya hote hai ?
Quick edit and Wrench icons ese best option hai jisse aap kisi bhi widgets/post ko directly edit kar sakte hain. Kisi bhi Widgets ko edit karne ke liye  us widget ko search nahi karna padta hai direct widget se Quick edit ke option par ja kar edit kar sakte hain.But in Icons ka sabse bada disadvantage ye hai ki koi bhi visitors in icons ko apki site par dekh sakta hai aur kisi bhi widget ko edit kar sakta hai isliye inhe remove karna hi theek rehta hai.Iske alawa Quick edit icons vajah se Blog ko bhi bahut nuksaan hota hai jaise Blog ki loading speed kam ho jati hai,SEO par bad effect padta hai aur blog ke look par bhi bad effect padta hai Aur traffic bhi kam hota jata hai.To chaliye mai aapko batata hu ki kaise aap eaisly in icons ko apne blog widgets se remove kar sakte hain.
Blog se wrench icons kaise hataye

Blogger blog se Quick Edit aur Wrench Icons ko hatane ke 4 methods
1.Method-1 Quick Edit icons ko Delete karke hataye
 Agar aap  Pencil icons ko permanently Blog se remove karna chahte hai to aap is Method se in icons ko hamesha ke liey delete kar sakte hain.Quick edit icons ko remove karne ke liye Blogger template→Click Edit Html→Ctrl+f par jayen aur niche diye code ko search karen.
<b:include name='quickedit'/> 
Agar code mil jaye to is code ke sabhi instance(part) ko delete kar dijiye aur fir Save Template par click kar den.Quick icons sabhi widgets se remove ho jayenge .

Blogger blog se Quick Edit aur Wrench Icons ko hatane ke 4 methods janiye in hindi - Hindi Idea


2.Method-2 Wrench aur quick edit icons ko CSS ke throgh Hide karna
Agar aap in icons ko only hide karna chahte hai to Css ki help se kar sakte hain.Sabse pehle Blogger Template→Customize-Add CSS Section par jayen aur niche diye CSS code ko paste kar den.
.quickedit{display:none;}
Code ko Add Css me Copy karne ke baad Template ko save kar dijiye.

3.Method-3 Blogger ke Post Footer se Quick edit icons ko Hataye
Agar aap apne blog post ke footer se Quick /wrench icons ko remove karna chahte hain to sabse pehle Blogger→Layout→Post Edit par jayen aur fir "show Quick editing" option ko disable kar den.

4.Method-4 HTML browser Comments ko Use karke Wrench icons  ko hataye
 Agar Method 1 mai codes ko delete karne ke baad bhi ye icons remove na ho to aap is method ka use kar sakte hain.Sabse pehle Template→Edit html→Ctrl+f jayen aur
<b:include name='quickedit'/> code ko find karen.
<!--b:include name='quickedit'/-->
Ab code ko upr Search kiye gaye code ke all parts ke sath Replace kar dijiye apke blog widgets se Quick edit remove ho jayega.

No comments:

Post a Comment