Monday, 16 July 2018

WordPress par blog kaise banate hain ? janiye puri jankri in hindi - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batatyenge ki WordPress par blog  kaise banate hain

WordPress par blog kaise banate hain ?


Kya aap blogging start karna chahate hai . Kya aap learn karna chahate hai ki WordPress Par Blog Kaise Banaye jate hai .Kya aap blogging se money earn karna chahte hai. If yes then ye post aapke liye hi hai kyonki is post me mai aapko step by step guide karunga with pictures taki aap easily understand kar sake ki wordpress blog kaise create karte hai aur blogging kaise start karte hai.Aapse request hai ki aap is post ko end the read kijiyega kyonki mai wo sabhi steps bataunga jo ek new blogger ke liye janana important hota hai . And I can bet ki aap is post ke baad again search nahi karenge ki wordpress blog kaise banate hai . So lets get started. Blogging means adding or updating your blog regulary with new material or information on a particular niche or topic using your skills.Kisi bhi topic or niche se related information , ideas , material ko blog par regular basis par update karna hi blogging kahlata hai .

WordPress par blog kaise banate hain ? janiye puri jankri in hindi -  Hindi Idea


Aur blogging karne ke liye ek blog ka hona bahut hi important hota hai kyonki aap apne ideas , material ko apne blog par hi update karenge is liye.Blogging ke liye aap blogger or wordpress mese koi ek ko  choose kar sakte hai but agar aap ek powerful and effective blogger banana chahte hai to mai aapko wordpress.org ko hi recommend karunga blog create karna hoga kyonki wordpress apko wo sabhi poweful tools and features provide karta hai jiski need ek professional blogger ko hoti hai .Wordpress par blog create karne ke liye aapke paas ek domain aur web hosting honi chahiye blog ko host karne ke liye agar aapke paas nahi hai to aap in dono ko purchase kar sakte hai maine kuch companies ke name list kiya hai jaha se aap cheap price par purchase karke blogging start kar sakte hai .

Waise to ek single domain ka cost around 700Rs  hota hai (differs company to company) Depending upon domain extension like .com , .org , .net but .com sabse expensive hota hai .Lekin .com domain kuch companies bahut hi low price me sale karti hai around 100Rs per domain . 2 hi domain registrars hai jo aapko 100Rs ke around me domains proive karate hai 1st bigrock jo ki India based registrar hai aur 2nd godaddy jo ki US based compnay hai .Inka aksar offer/sale chalata rahata hai aap yaha se domain purchase kar sakte hai . Agar kisi aur company se purchase karte hai to aapko 700Rs tak pay karna hoga is liye aap in dono me se kisi ek se hi purchase karke aapka kuch money save ho jayega kyonki starting me sabko thodi si paise ki problem hoti hai is liye maine aapko bataya hai inke baare me waise to aap bluehost or hostgator se bhi domain name purchase kar sakte hai.

Agar aapko money ki problem hai to aap domain GoDaddy or bigrock se purchase kar skate hai aur hosting Hostgator se dono ka  totoal a karib 2000Rs hoga for one year.Lekin main aapko 500 Rs ke andar domain aur hosting dono dil sakta hu.

New  bloggers ke liye domain name choose karna aur web hosting choose karna kafi challenging hota hai haina ? Lekin dont worry maine aapse promise kiya hai ki mai aapko har ek step par guide karunga is liye keep following me. Domain name purchase karne se pahle aapko ek niche decide karna hoga ki aap kis topic par blogging start karna chahte hai aap kis topic par apne blog par posts publish karenge . Example ke liye money making online , blogging , food blog , relationships , youtube , computer tips and ticks , finance and banks , body building , health issue , home remedies , comedy or jokes , etc. Jis bhi field me aapko adhik knowledge ho or aap skilled ho  usi niche ko aap choose kijiyega warna aapko problem hogi content collect karne me. In my case mere blog ka domain name hai www.enterblogging.com kyonki mai is blog par kewal blogging ke baare me hi posts publish karata hu so domain name choose karne se pahle aap apne niche ko choose kijiye.

Domain extension kaun sa best hota hai .com , .org  , .net , .in or any other ? Well for your kind information domain extensions se kuch special benefit nahi hota hia but agar aapka domain .com hoga to easily log find kr skte hai kyonki aap aksar news , radio or kisi show me dekhate honge kisi website ka name www.exmple.com jaisa hi bataya jata hai is liye people or users ke mind me .com set ho jata hai . So consider choosing .com domain that might help you a lot in many ways. 60% user website ke baad .com hi lagata hai jab wo kisi website ko google chrome or kisi bhi browser me open karte hai . In fact internet browers automatically .com add kar dete hai jaise hi aap kisi website ka name enter karte hai aapne kabhi na kbhi experience jarur kiya hoga. So choose .com domain extension only for your wordpress blog.Agar .com domain nahi hai to aap koi sa bhi domain like .org , .in or .co.in purchase kar ke blogging start kar sakte hai but hamesha .com domain hi try kijiyega .

Waise to web hosting ke differnet types ke plans hote hai like shared , vps and dedicated but new bloggers ke liye shared hi best hota hai kyonki shared cheap hota hai aur vps /decdicated hosting kafi costly hota hai jo ki ek normal person afford nahi kar skata hai blogging ke liye . Is liye mai aapko recommend karunga aap shared hosting ko hi purchase kijiye apne wordpress blog ke liye.Web hosting aap kisi bhi company se purchase kar sakate hai aur sabhi comapnies ke shared hosting plans ka price differnt hota hai .Jo bhi hosting plan aap purchase karte hai uski validity one year ki hoti hai *(Conditions Apply) aur every year aapko use renew karna hota taki aapki website work karti rahe agar aap hosting plan ko renew nahi karte hai to aapki websie close ho jayegi so aapko every year plan ko renew karna hota hai. Internet par bahut si web hosting companies hai but kuch hi popular hai Like BlueHost , HostGator , GoDaddy And BigRock  sabhi webhosting companies ke plans ka cost different hota hai. HostGator par single domain shared hosting aapko 4000Rs me mil jayenge , Bigrock par aapko 2000Rs me mil jayenge , Bluehost par aapko 5000Rs pay karne honge and GoDaddy par aapko 1800 Rs dene honge shared hosting ke liye . So isme se sabse best hai Hostgator kyonki ye aapko Discount bhi deta hai aur iska price me less hais as compared to other companies.Lekin aap kisi bhi web hosting comapnies se purchase kar sakte hai mai apko hostgator is liye recommend kar raha hu kyonki mai starting me khud hostgator ka shared plan hi purchase kiya tha 2500rs me.

Blog Ke Liye Domain Name Kaise Purchase kare
Blog ke liye aap kis bhi domain registrar se domain purchase kar sakte hai . For example bigrock.com , godaddy.com , hostgator.com or bluehost.com but mai aapko bigrock or godaddy.com hi recommend karunga domain purchase ke liye kyonki ye kafi cheap/low price par .com domain name sell karte hai.Aap jis bhi domain registrar se domain register karna chahte hai uski website par aapko ek account create karna hota hai aur domain name search karna hota hai uski websie me jo aap blog ke liye purchase karna chahate hai . Aur finally domain milane ke baad apni personal details aur fill karke payment karne ke baad domain aapke account me add ho jata hai aur aap use use kar sakte hai.Mai aapko Godaddy se domain purchase karke step by step guide karunga so please follow the steps.

Jaisa ki aap dekh skate hai maine godaddy ki website open ki hai aapko iske search box me apne domain ka name search karna hai in my case maine search kiya hai enterbloggingblog.com jo ki available hai agar apke case me domain name unavailabe hai to aap extension (.in , .net or .org) change karke try kar skate hai . Aur jab domain apko mil jaye to aap use add karke continue to cart par click kr sakte hai.

Yaha par aap apne product cart ko review kar sake hai ki aapke cart me kaun sa product hai aur us product ka price kitana hai .Agar aapko domain par koi discount cahiye to aap unke offer check kar sakte hai ya fir unke customer care se contact bhi kar sakte hai .Cart ko review karne ke baad aap proceed to check out button par click kijiye.

Is form me aapko apni personal details fill karni hoti hai like your name , email address , mobile number and address.Jo bhi information aap yaha par fill karenge wo sabhi information whois.com website par viisible hogi is liye proper information and correct details hi fill kijiye.Puri information ko aap ek baar recheck kijiye aur Place your order button par click kijiye.

Finally aap last step par aa gaye hai yaha par aapko apni payment complete karni hai taki domain aapke account me add ho sake.Jis bhi payment method ka use karke aap payment karna chahate hai aap kar sakte hai like credit card , debit card , net banking , paytm , and upi . So jo aapke liye easy ho us method jo select kijiye aur turant payment kar dijiye jaise hi aapka payment success hoga apka domain name apke account me add ho jayega aur iski details aapke email ke inbox me mil jayega aap check kar sakte hai .Domain name to aapne purchase kar liya hai ab aapko web hosting purchase karni hai .Chaliye shared web hosting bhi purchase kar lete hai next step me.

Web hosting purchase karne ka process same hi hota hai jaisa hamne domain name ke liye follow kiya tha.Hosting company ke website ko aapko open karna hota hai waha par aapko shared hosting plans ka option milega uspar click karenge aapko 3 plans show karenge leking aap single domain ke plan ko hi select kijiyega fir aapse domain name pucha jayega jis domain ke liye aap hosting purchase karna chahate hai aur account create karne ke baad payment karni hoti hai aur finally apka hosting aapko mil jata hai .But mai web hosting ke liye bhi step by step guide karunga so lets start.

Hostgator se shared hosting plan purchase karne ke liye aap hostgator.com website par visit kijiye web hosting me aapko shared hosting ka option milega aap uspar click karenge to aapko 3 plans show karenge 1st hatchling plan 2nd baby plan and 3rd business plan aap jo bhi plan purchase karna chahate hai apne requirement ke according aap purchase kar skate hai but mai aapko hatchling plan recommend karunga agar aap single blog ke liye hi purchase karna chahate hai.Aap kitane year ke liye plan purchase karna chahate hai use aap select kar skate hai 1 year or 2 years drop down options se.Mera suggestion hai aap 1 year ke liye hi purchase kijiyega.Year select karne ke baad by now button par click kijiye.



Buy button par click karne ke baad aapkse bola jayega new account create karne ke liye jo aap apne email aur ek password choose karke create kar sakte ahi .Create karne ke baad cart me jakar continue button par click kijiye. Agar aap discount chahte hai to aap unke coupon code ko use kar skate hai or unke sales team se bhi contact kar sakte hai.Wo log aapko kuch aur discounts bhi dila skate hai.

Ab ye last step hai yaha se aapko payment karni hoti hai taki web hosting aapke account me add ho jayega. Bahut se payment options hai jo bhi aapko easy lage aap use select karke payment kar sakakte hai . Payment successfull hone ke baad payment gateway aapko apke account me redirect kar dega jaha se aap apne web hosting plan ko check kar sakate hai.

Payment complete hone ke baad aapke ek email receive hoga jisme aapke hosting plan ki complete details hogi like aapka hosting plan kab expire hoga , primary domain kya hai , email address kya hai apke server ka IP address kya hai , aur name servers honge jinka use karke domain ko hosting se connect kiya jata hai.Jo sabse important details hoti hai wo hoti hai aapke Cpanel ki jiski help se aap apne blog ke files and folder ko manage kar payenge in fact wordpress bhi cpanel ke through hi install hota hai so its very important. FTP ke bhi details hote hai agar aap ftp client ka use karke apne server me login karna chahate hai .In short is email me aapke server ki complete credential / details , information hoti hai jiski jarurat aapko padati hai jab aap website or blog create karte hai.

Domain+WebHosting to hamne purchase kar liya blog ke liye ab dono ko aapas me connect karna hai aur uske baad hi blog or website open hogi.Sabse pahle aap apne domain account me login kijiye jaha se aapne domain purchase kiya tha . Domain account me login karne ke baad aapko nameserver option ko open karna hai. 

Jo email aapko web hosting purchase karne ke baad mila tha us email ko open kijiye aur usme 2 nameservers honge 1st nameserver and 2nd nameserver dono nameserver ko one by one copy karke apne domain account ke nameserverme update kar dijiye.

Nameservers kuch is tarah se dikhate hai 1 st nameserver ns2.webhost.net and second nameserver 2nd ns1.webhost.net .Dono namesrver ko same to same domain account ke nameserver field me save paste karke save kar dijiye.

Finally nameserver ko domain account me update karne ke baad aapko kuch time ke liye wait karna hoga kyonki propagation ke liye kuch hours lagate hai but normally 30 minuts ke andar hi propagation complete ho jata hai .Propagation complete hone ke baad aap apne cpanel me login kar sakte hai custom website aur wordpress blog ko bhi create kar sakte hai .

Cpanel ka login details like username and password aapke hosting ke email me hoga jiska use aapne hosting plan purchase karne ke liye kiya tha.

Ab aap apne cpanel me login karne ke liye domain ke baad /cpanel  put karke enter press kijiye for example agar aapka domain exampleblog.com hai to aapko address baar me enter karna hoga hindidea.com/cpanel jaise hi aap enter press karenge aapko cpanel ka login page show hoga aap usme cpanel ka username and passwrod ko fill karke Log in button par click karke login kar sakte hai .

Aapne successfully apne cpanel me login kar liya hai .Ye apke cpanel ka dashboard hai isme aapko wo sabhi tools milenga jiski jarurat kisi bhi blogger or web developer ko hoti hai blog or site designing karne ke liye.Yaha se aap apne blog ke files ko check kar skate hia modify and manage kar sake hai .Well mai apko bataunga ki  WordPress blog kaise create karte hai . Wordpess ek open source blogging script hai jo aapko softaculous app installer me mil jayega aap wordpress script par click kjiye.

Simply aap install now button par click kijiye aur uske baad aapko domain select karna hoga jispar aap wordpress ko isntall karna chahate hai . Saathe me aapko username nd passwrod bhi create karna hoga apne blog ke lie jiska use kar aap apne wordpress blog me login karnege.

Yaha pr aap apne blog ke baare me information ko fill kijiye like site name aapke blog ka name description me what your blog is all about .Admin account me username aur password choose karke ke baad ek baar information ko recheck karne ke baad Install button par clic kar dijiye.Install button par clic karke ke kuch seconds ke baad hi apka wordrepss blog successfully create ho jayega aur aap apne blog me login bhi kar sake hai /wp-admin put karke after your blg domain like exampleblog.com/wp-admin.

WordPress me login karne ke liye aap apne blog ke domain ke baad wp-admin put kijiye for example agar aapka blog exampleblog.com hai to aapko exampleblog.com/wp-admin put karna hoga brower ke address bar me.Jaise hi aap enter button par hit karenge aapko is tarah ka wordpress login page show karega jisme aap wordpress ka user name aur passwrod enter karke login kar sakehai apne blog me .

Finally aap apne wordpress ke dashboard me hai .Yaha se aap apen blog ko completely manage ,control , customize and modify kar ske hai kyonki aapke paas complete admin access hota hai. WordPress blog par fist post write karne ke liye left me post section add new par clic kijiye.Jaise h aap click karenge aapko wordpress ka powerful post editor dikhega jisak use kar aapa pen blog post beatitufl , effective and interactive bana sake hai .

WordPress ke is post editor me aapko wo sbhi tools and featres milenga jiski jarurt content ko write karte time hoti hai . Like heading , letter bold , leter itaic , font color , font background color ,symbols , text alignment , jo sabse most importat hai wo hai link creator and media insert tool. Link generator se aap apne post me internal links create kar sake hai jo aapke post se related ho aur insert media feature se aap apne post me media use akr skte hai like images , videso and audio files.Finally post ready hone ke baad aap Publish button par clic karke post ko public kar skte hai . Publish karne ke baad jo bhia apne blog par visit karega wo aapke published posts ko read kar sakta hai.

Post publish hone ke baad apke blgo ke home page show karnege . Jisse aapke reader apke posts ko easily read kar payenge.Post ke end me ek comment box hota hai agar koi reader chahe to aapke post par comment karke question bhi puch skata hai . Aur us question ka aapko answer dena hota hai as a reply.

So is tarah se wordpess blog ko create karte hai .

No comments:

Post a Comment