Tuesday, 17 July 2018

Blog/website ki loading speed kya kyu kaise ? - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki kisi Blog ki loading speed kya hoti hai ? Blog ki loading speed check kyu kare ? Blog ki loading speed check kaise kare ? Blo ki loading speed ko kaise increase kare .

Blog ki loading speed kya kyu kaise ?

Kisi bhi Newbi ke liye sabse aasan kaam Free Blog Banana hai. But sabse Hard work site ko rank karwana. First of all aapko Regular Blog Performance Check karte rahna Cahiye. Isse Blog Loading Speed aur Blog par kya kya Problem ho rahi hai pata chal jata hai. Isse thik karke Aap Apne Blog ki Speed ko aur jyada Better bana sakte ho. In any case me samye samye per bpni blog Performance test karta rahta hu. Because Google unhi website ko top pe rakhta hai jinki Website Speed Fast aur Good SEO ho. Mene adhiktar logo ko dekha hai. Wo apni site speed par dyan nahi dete. Ye nahi bhulna chahiye, ki Fast load Hone wale blog ko Google jyada Importance Deta hai.

Blog ki loading speed kya hoti hai ?

Dosto blog ki loading speed ka matlab hota hai ki jab aap kisi particular website ko search karte hai to us website ka webpage kitni der me open hota hai. Aamtaur par jab aisa hota hai or page open hone me time lagata hai to hamari website ki loading speed slow ho jati hai. jisse hamari website par traffic bhi kam hota hai or hume loading speed check karni hoti hai .

Blog/website ki loading speed kya kyu kaise ? - Hindi Idea

Blog ki loading speed check kyu kare ?

Blog ki speed fast rakhna kitna jaruri hai almost sabhi sites owner ko pata hai. Google bhi is baat ko khahta hai, ki website blog ki loading speed more then 2s hai, Toh usko bahut kam mahtv diya jata hai. For the reason Site ki rank upar aane ke bajaye lagatar girti jayegi. 47% Readers ummid rakhte hai ki Website 2 seconds me hi open ho jaye. Agar Open hone me 3 seconds se jyada Time lagta to 50% readers site ko chor dete hai.

Blog ki Loading Speed Fast hona SEO ke liye Better hai. Finally Google ne bhi Ranking Algorithm me Site Speed ko Add kiya hai. Agar Blog ki Open Speed Slow hai. Toh wo kabhi bhi Google ki Search Ranking me achhi Position pe Nahi aa sakta. But iski wajah se Traffic bhi bahut kam aayega. Blog ki Loading Speed Slow hone se SEO pe effect padega.

Blog ki loading speed check kaise kare ?

Dosto yaha me kuch tools ke bare me bata raha unka use karke aap apne blog ki loading speed ko check kar sakte hain. 

#1. Google Page Speed Insights :-
Aapka Blog load hone me kitna time leta hai pata karne ke liye google Page Speed Teast Tool best hai. Isme bas aapko apne site ka URL submit karna hai. Uske baad yah Tool apke site ko analyze kar ke uska result bata dega. Yaha aapko Page Speed ke alawa blog ko Fast Load karne ke liye Optimization Suggestions milega.

Ye Tool aapko site ke Sabi data ke bare me batyega , ki aapko blog ki loding fast karne ke liye kis kis ko Optimize karne ki jarurat hai.

 #2. Pingdom Website Speed Test :-
Aapki website ke reliable uptime and performance monitoring ke liye Pingdom best site hai. Iski help se aap apne blog ki speed check karke usse improve easily kar sakte hai. 70% blog websites owner iska use karte hai. Pingdom apke Webpage ke All Parts ko Examine karta hai. Isme sabse achhi yah baat hai ki multiple locations jaise Europe, the United States, etc country par site speed check karta hai. Agar aap apne blog Uptie or Performance ko 100% Optimize karna chahte hai to yah Best online Website Speed Checker tool sahi rahega.

#3. GTmetrix
Gtmetrix ko Site Speed aur Performs Test karne ki Most popullar Tool mana jata hai. Aap is pe apna account create kar ke site submit karte hai, toh yah mail dwara blog performance report or optimization suggestions per week deta rahega. Aap agar is tool pe apni site ko submit karke loading speed test karte hai. Toh sath me yah aapko batayega ki kiya-kiya implement ki jarurat hai.

#4. WebPageTest
WebPageTest upar bataye gaye tools ki tarah hi kaam karta hai. Lekin isme 25 se adhik web browsers, All device or sabhi country me aapke blog ki loading speed test kar sakte hai. Ye aapko site ki report 6 part me analyze karke batayega. Jisme summary, details, performance review, content breakdown, aur screen shots ki alag alag repot dekh sakte hai. WebPageTest speed Test Tool apne vanced features ki wajah se Bloggers ka pasinda tools banta ja raha hai.
 
#5. Varvy Pagespeed Optimization
Varvy Pagespeed Optimization ko developed aur maintained karne waale Patrick Sexton hai. GetListed.org dwara ise created kara gya hai. Varvy Pagespeed Optimization page speed checker tool ko Moz Local Name se bhi jana jata hai. Is tool se 5 different reports apko milti hai. Like resource diagram, css delivery, javascript usage, page speed issues found, aur services used.

#6. Uptrends
Uptrends apki site ko 35 locations pe Speed Test karta hai. Website ki runnig speed kis desh ke server pe kitni hai ye uski complate report apko dega. Iske alawa apki site ki loading speed slow hone ka sahi karn analyze kar ke aapko batayega.

#7. Dotcom Tools
dotcom-monitor aapke  blog ki loading speed ko 23 different locations aur 7 different browsers me test karta hai. Isme sabse unique feature yah hai ki ek sath sabhi loctaion pe speed tests kar sakte hai. Other tool me apko bari bari se alag alag server par test karna hota hai. Yaha apko ek sath speed check karne ka option milega jo ki apka kafi samye bacha sakta hai.

#8. PageScoring
Page Scoring kisi bhi website performance ko bahut easy tarike se dikhata hai. YAh page speed se judi problems like Domain Lookups, Connection Time, Redirection Time, Page Size aur Download Time ko alag-2 part me analyze kar result deta hai.

#9. Yellow Lab Tools
Yellow Lab Tools ko Gaël Métais dwara developed kiya gaya hai. Yah tool aapko web page related baht sari jankari deta hai. Isme jo feature hai, ye aapko kisi other page speed testing tools me nahi milegi. like Page weight, Requests, DOM, Bad Javascript, Bad CSS aur Server Config.

#10. Google Chrome DevTools
Google Chrome DevTools sabse achcha tool mana jata hai. Ise use karna bahut easy hai. Yah aapko sabse advanced features ke sath milega. Aap apne Chrom Browser me Shortcut key istemall karke kisi bhi samaye ise launch kar sakte hai. Aur apne website speed ko check kar sakte hai.

Blog ki loading speed ko kaise increase kar?

Blogger blog ki speed ko fast karne ke liye niche bataye gaye sabhi steps ko thik se follow kare uske bad ap bhi apne blog ki speed ko jarur badha payenge to chaliye dosto let's start.

1. Remove Extra Widget
Blogger me blog design k chakkar me ham bahut sare widget laga dete hai isse hmare blog ka loading time bahut jyada bad jata hai isliye apko vo hi widget use karne chahiye Jo apke liye important ho baki k faltu widget apne blog me bilkul add naa kare isse apko kafi acchi speed milegi

Blog/website ki loading speed kya kyu kaise ? - Hindi Idea

2. Remove Extra CSS code
Widget ki tarah blogger me CSS code ka bhi ek option aata hai CSS ko mostly blog design ke liye hi use kiya jata hai blog ko CSS se pura design kiya jaa Sakta hai par jyada CSS coding se apke blog ki loading speed par bhi bad effect pad sakta hai ye apke blog ki loading speed ko badata hai isliye agar apke blog me extra CSS code add kiye hue hai to use remove kar de

3. Image Resize
Old blogger ko uska pata hota hai par new .Blogger ko iska pata nahi hota jab hm post likhte hai to usme jitni bhi photo add karte hai use resize kar ke 50kb se 100kb tak ki size rakh kar hi blog me add kare isse apke blog me loading time par jyada bad effect nahi padega or ye size apke seo k liye bhi batter rahegi photo resize karne ke liye bahut se PC or android application hote hai jisse Ap kisi bhi image ki size kam kar sakte hai

4. Minumum Ads
Blogger me hm ads lagate hai to usse hmare blog ki loading speed kafi slow ho jati hai kyuki isme extra HTML code post k sath open hote hai par Ap limit se ads lagate ho to apki blog ki loading speed kafi batter rahegi jyada income k chakkar me apne blog me jyada ads kabhi na lagaye or image ads se link ads jyada use kare kyu ki ye fast load hoti hai

5. Extra HTML code
Kai blogger apne blog ke HTML me kuch extra HTML coding kar dete hai Jo ki blog k sath load hote hai isse blog ki loading time bhi slow ho jati hai agar apne apne HTML me extra coding ki hai to extra bina usefull coding ko remove kar de or jitni ho sake utni kam coding use karne ki koshish kare

6. Fast Loading Tamplate
Blogger me loading speed ka main role tamplate ka hota hai sabhi template ki coding k hisab se loading speed low ya fast hoti hai apko apne blog ki loading speed badani hai to apko fast loading template use karna chahiye me apko fast loading template ke liye soratamplate hi use karne ki salah duga kyu ki uski speed kafi acchi hoti hai

7. Set Homepage Setting
Blogger page speed badane ke liye apko apne homepage ko setting karna jaruri hai iske liye Ap kam size wala logo blog me lagaye or maximum 5 post hi homepage me show kare or homepage k extra widget bhi remove kar de

No comments:

Post a Comment