Thursday, 12 July 2018

Blog ki Alexa Rank increase karne ke 11 tarike janiye in hindi - Hindi Idea

Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki kaise aap apne blog ki Alexa Rank ko increase kar sakte hain.

Blog ki Alexa Rank kaise increase kare 

Yaha par aapko mai alexa rank improve karne ke kuch best ways ke bare me bta raha hu. jinhe follow karke aap apne blog ki alexa rank ko or jyada better kar sakte ho.

1) Claim Your Site To Alexa:
Sabse pahle apni site ko alexa se submit kare

 2) Work With Better SEO:
Blog ya website ki alexa rank badhane ka sabse acha tarika hai ki aapki site ki post behtar SEO ko follow kar ke likhi gayi ho. aapki ek SEO friendly post aapki site ko 10k alexa rank top par la sakti hai.

3) Social Media Sharing:
Jab aap new post publish karte ho to post ko social media par share jarur kare. becoz aap ek post me ghanto time lagate ho to 5 minute de kar post bhi share kar sakte ho. alexa rank social media activity par bhi depend karta hai.

Blog ki Alexa Rank increase karne ke 11 tarike janiye in hindi - Hindi Idea


4) Create Your Site Page:
apni site ke liye facebook, google plus par page banaye or us par continue apne new post share kare. isse aapko visitors bhi milenge. backlinks bhi milega. or aapki site ki alexa rank bhi better hogi.

5) Guest Posting:
Apne blog par guest posting start kare or dusre blog par bhi guest post share kare. isse aapko dusre blogs se backlinks milenge. or jab aapki site ko backlinks milenge to aapki site ki ranking bhi badhegi. 

6) Fresh and Clear Article:
Post likhte time post me kisi topic par badha chadha kar content nahi dale. sirf utni bat likhe jo jaruri ho. or post me di gayi jankari clear ho jisse aapke visitors post ko aasani se samajh sake. isse aapki site ki bounce rate badhegi.

7) Comment On Other Blog:
Apne blog se related dusre blog par comment karke unse ache relationship banaye rakhe isse aapki site ki value badhegi. or sath hi aapko adhik traffic bhi milega. lagbhag har success blogger aysa karte hai. commenting blog ke liye backlinks kamane ka sabse acha or free tarika hai.

8) Add Alexa Widget To Blog:
Apne blog me alexa rank widget add kare. blog ki alexa ranking badhane ki ye ek free or easy tips hai.

9) New Update Content:
aapke blog par jitni new or sabse alag jankari hogi. aapke blog ki alexa rank utni achi hogi. agar aap 5 aysi post liokhte ho jo pahle se internet par hai or 1 aysi post likhte ho jo pahle se internet par nahi hai to alexa rank increase karne me wo ek post aapki pahle se mojud 5 post se jyada achhi sabit hogi.

10) Add Alexa Toolbar To Your Browser:
Apne browser me alexa toolbar install kare. ye aapki site ko trace or update karne me help karti hai. alexa toolbar aapki site ko best position me lane me aapki help karegi. 

11) Right Post On Alexa: 
Apni site ki alexa rank increase karne ke liye site par alexa rank par post likhe. jise alexa sabse jyada pasand karta hai.

No comments:

Post a Comment