Hello dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko dunia ki sabse superfast train gravity train ke bare me batayenge .
Superfast train 'GRAVITY'
Dosto aaj ke jamane ko technology ka jamana bhi kehte hain . Aaj hum wo cheeje kar sakte hain jise sochna pehle hamare liye impossible tha .
Dosto kal tak hum ek desh se dusre desh me pahucne ke liye keval aeroplane ka use kiya karte the jisme kafi time lag jata tha or hum jante hain ke keval plane he jaldi se hame kahin bhi pahucha sakta hai , par dosto aap ko yakin nahin hoga ki ek aisi bhi train hai jo hume keval 45 minutes me Delhi se New York bhej sakti hai .To dosto or jankari ke liye hamari ye post padhte rahe.
GRAVITY Train kya hai ?
Dosto gravity train ek aisi train hai jisme gravity ka concept samil hai . Simple words me kahe to ek aisi train jo gravity ki speed se chalegi .
GRAVITY Train ka concept
Iska concept bilkul simple hai ,train ke liye ke underground tunnel banaya jayega jo ki bahar khade insaan ko niche earth ki depth ki taraf jate huye dekhega .Is tunnel ke ek side me hoga ek city ka platform or dusri side me hoga dusri city ka platform.
Safar suru hone ke liye pehle plateform par khadi train apni brakes hatayegi or gravity usi wakt train ko niche khichne lagegi jisse train niche ke taraf accelerate hone lagegi ek rollar coster ki tarah . Jitna gehra tunnel hoga utni hi jada train fast accelerate karega or safar ke aadhe raste ke baad train ke speed slow ho jayegi kyonki earth ke core ki gravity use deaccelerate karne lagegi .To dosto is wajah se train aage jaroor badhegi par uske niche girne ke momentum ki wajah se or ye speed dheere dheere slow hoti jayegi jab tak train apni manjil tak nahi pahuch jati or waha uski speed puri tarah se zero ho jayegi . To dosto is tarah hum kisi bhi jagah 45 minutes me pahuch jayege .
Dosto aap ab yeh soch rahe honge ki aisa kaise possible hai ki kahi bhi hum 45 minutes me pahuch sakte hain kyonki koi bhi do jagah ki bich ki distance kabhi same nahi rehta to same time me kaise pahucha ja sakta hai to dosto jayda distance ke liye train or jayda tej accelerate karegi kyonki isme gravity ka force jada hoga to is tarah hum agar time calculate karenge kisi bhi do jagaho ke bich to time keval 45 minutes he lagega
Kya GRAVITY Train bina fuel ke chlti hai ?
Ji haan dosto theories ke anusaar yeh train bilkul fuel free hogi kyonki yeh keval gravity ke force ko use karke hi chal sakti hai par dosto real life me patry or train ke pahiyo ke bich friction hoga jo train ki speed ko slowdown kar dega to iske liye hume kam quantities me fuel lagega
Kya GRAVITY Train real me ban payegi ?
Dosto hone ko to kuch bhi ho sakta hai lekin ise banane ke liye ek badi problem aayegi ki hum itne gehre tunnel kaise khodenge kyon ki ab tak hamare pas us level ka engineering nahi hai ki hum earth ke itne gehrai me tunnel bana sake .Calculations ye batate hain ki hame atleast earth ke lagbhag 55 kms gehrai me tunnel banani padegi is concept ko pura karne ke liye jo ab tak insano dwara khode gaye sabse bade gadde se lagbhag 4 guna jada hai . Hum literary earth ke mental tak pahuch jayenge jaha on average temperature hoga around 500-900 degree celsius .Hamare pas ab tak itne advance metals itni jada matra me nahi hain jo yeh sab sehan kar sake .Par dosto yeh aaj possible nahi hain hamare liye lekin ye dream future me jaroor possible ho sakta hai .
No comments:
Post a Comment