Friday, 13 July 2018

Keval ek din me website ki search ranking kaise badhaye ? janiye simple tarika - Hindi Idea

Helllo dosto swagat hai aapka hamare blog hindi idea me aaj hum aapko batayenge ki aakhir bus keval ek din me aap apne website ki search ranking kaise badha sakte hain.

Google me top rank pane ka sabse achha tarika hai search engine optimization lekin SEO ke bare me bahut bhi bate jhoothi bhi hoti hai aur kuch SEO tips itni important hoti hai ki un par work karte hi kuch hi time me benefits milna shuru ho jata hai.

Aesi hi SEO tips aaj main yaha btane wala hu jo 100% working hai. Ho sakta hai aapko inke bare me pahle se pata ho lekin ek newbie blogger ke liye ye trick useful and helpful sabit ho sakti hai.

Ye wo tips and tricks hai jinko follow na karne par aapki site par achha content hone ke bavjood aapki site google me top position nahi pa sakti.

Website ki search ranking kaise badhaye ?
Ek din bahut badi bat hai in tricks ko apply karne ke bad 4-5 hours me hi aapko results mila shuru ho jayega aur 24 hours tak aapki site ka traffic increase ho jayega.

1. Optimize Page Speed
Mujhe nahi pata aapki site kitni speep up hai aur uske page kitne fast open hote hai lekin aapko moujda page loading speed ko improve karna hoga. Matlab jaha aapki site ka page 3 second me open ho raha hai use 2 second me aur 2 second me open ho raha hai to 1 second me open hona chahiye.

Anchor Text Kya Hai or Ye Site SEO Ke Liye Kyu Jaruri Hote Hai
Iske liye aap best hosting, CDN, Optimizing try kar sakte ho, kuch bhi ho bas aapki site ki page speed improve honi chahiye.

2. Fix Duplicate Content Issue
Aapne apni site par ek content ko ek se jyada bar publish kiya ho ya kisi ka content copy kiya ho use abhi delete kar de aur duplicate content ki problem ko completely khatm kar de.

POst page ke alawa categories, tags, pagination me bhi duplicate content ki problem hoti hai use fix kare. Iske liye aap google search console me Search Appearance >> HTML Improvements option check kar sakte hai.
Keval ek din me website ki search ranking kaise badhaye ? janiye simple tarika - Hindi Idea

3. Use 301 Redirection Correctly
Agar aapne hal hi me page URL, domain change kiya hai ya http to https move kyia tha to 301 redirection sahi se set kare taki duplicate content ki problem na ho.

HTTP to HTTPS with WWW redirection ka tarika ye hai.

http://domain.com >> http://www.domain.com >> https://www.domain.com = wrong
http://domain.com >> https://www.domain.com = right
Matlab redirection chains kam se kam hona chahiye. Adhik jankari ke liye ye article check kar sakte ho.

4. Noindex and nofollow tags
Category aur tag ko google me index karane ki koi jarurat nahi hai, sirf page and posts ko index rahne do taki user ke koi keyword search karne par aapki site ki category nahi post show ho.

Iske liye aap page <header> section me rel="noindex" tag add kar sakte ho aur agar aap wordpress user ho to yoast seo plugin ki madad categories tags ko noindex kar sakte ho.

5. Fix Broken Links
Aapki site par jitne bhi broken links hai un sabko fix karna hai. Iske liye aap Xenu ya Broken Link Checker plugins ka istemal kar sakte ho.

Kuch bhi ho aapki site ke all URL proper work karne chahiye, kisi bhi page ya post me error 404 link add nahi hone chahiye.

At last, Is sab settings ko complete karne ke bad aap google search console me jaye aur apne blog ke homepage ko fetch as google kare, uske bad request indexing me “Crawl this URL and its direct links” option select kare.

Iske bad 24 hours ka wait kare, 24 hours ke bad aapki site ki search ranking pahle se jyada boost hogi aur site traffic bhi increase ho jayega. Yaad rahe all 5 steps follow karne hai, sabko follow na karne par aapki site ki ranking boost hona mushkil hai.

No comments:

Post a Comment