Tuesday 26 June 2018

Apne naam ki ringtones banane ke teen behetareen tarike in hindi - Hindi Idea

Hello dosto  swagat hai aapka hamare blog Hindi Idea me aaj hum aapko batayenge ki kaise aap apne naam ki ringtones teen behetareen tariko se kaise bana sakte hai ?

Apne naam ki ringtones banane ke teen tarike -

1. Bestwap.in

2. YourNameRingtone.com

3. FreeMobileDownlodRingtone.com (FDMR.in)

Bestwap.in Se Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye?

Best wap meri favorite site hai jisse ham apne naam ka ringtone bana sakte hain best wap se ham Hindi caller Tone, Hindi massage Tone, English Caller Tone, English Massage Tone aur sath ki ham isse aisa ringtone bhi bana sakte hain.

jisme call karne wale ka naam aur hamara dono ka naam hoga jaise mai apne naam ka example deta hoon  “Mukesh Gupta Aapko Bitu Phone Kar Raha Hai Plz Apna Phone Uthaye” to dosto hai na ye best site apne naam ki ringtone banane ke liye.

Bestwap.in se apne naam ki ringtone banane ke liye aapko hamare steps follow karne honge.

1. Sabse pahle BestWap.in open kijiye aur aapko jis type ki ringtone banani hai us category par click kijiye.

Apne naam ki ringtones banane ke teen behetareen tarike in hindi - Hindi Idea


2. Ab “Your Name:” wale box me apna naam daliye jaise mera naam Mukesh hai to mai is box me apna naam Mukesh dalunga agar aap chahe to kisi aur ka naam dalkar uske name ki ringtone bhi bana sakte hain.

Apne naam ki ringtones banane ke teen behetareen tarike in hindi - Hindi Idea


3. Ab “Select Music:” wale box par click kijiye click karne par aapko kuch mujhe ke naam dikhenge aapko jo music apne ringtone me chahiye use select kar lijiye.

4. Ye sab kar dene ke bad click here ke button par click kijiye.

Apne naam ki ringtones banane ke teen behetareen tarike in hindi - Hindi Idea


5. Ab aapke samne jo page khulega usme aapko download button mil jayega aap chahe to play button par click karke music play karke bhi dekh sakte hain ki ringtone thik bana hai nhi agar aapko ringtone thik na lage to aapko ek or ka option milega usper click karke mix audio wali ringtone download kar lijiye jo aapko aur pasand aayegi.

FDMR.in Se Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye ?

FDMR.in meri list me 2nd number par hai yahan se aap free me apne naam ki ringtone banakar download kar sakte hain yahan se aap Hindi aur basic English wali ringtones download kar sakte hain yahan se se ringtone download karna bahut easy hai is site se aap do tariko se Apne Name ki ringtone download kar sakte hain.

1. Pahla tarika jo hai vo ye hai ki Google me apne naam ke sath FDMR likh kar search karke example ke taur par Mukesh FDMR Google me search karke Mukesh naam ki ringtones download kar sakte hain.
 
2. FDMR.in se apne naam ki ringtone download karne ka jo dusra tarika hai usme first apne browser me FDMR.in ki site ko open kijiye fir Search box me apna naam dalkar search kijiye search karne par aapko aapke naam ki ringtones mil jayegi usper click karke download kar lijiye.

YourNameRingtone.com Se Apne Naam Ki Ringtone Kaise Banaye ?

Ye site apne naam ki ringtone download karne ke liye bahut badhiya hai lekin maine ise number 3 par is liye rakha hai kyuki ye free me ringtone nhi deti hai.

Isse har ek ringtone download karne ke liye aapko .5$ yani ki 30-35 rupye pay karne padte hain aur ye sirf English me hi ringtone deti hai isiliye ye number 3 par hai lekin ye bhi kafi achi site hai.

Is site se ringtone download karne ke liye sabse pahle Yournameringtone.com ko open kare fir enter site par click kare aur apne naam ka first letter select karke apne naam ki ringtone download kar le.

No comments:

Post a Comment